Ek uncle apni shop par baithey they
unki shop par Guruji ki photo lagi hui
hai, unki dukan par ek customer aunty
aaiye, unhone Guru ji ki photo dekh
kar shop wale uncle se pucha ki yeh
baba kaun hai to uncle ne kha ki yeh
hamare Guru ji hai,to wo customer
aunty shop wale uncle ko boli ki maine
inhe dekha hai kahin, par muje yaad
nhi aa raha hai. To shop wale uncle
bole ki hamare Guruji to 2007 main
mahasmadhi le chuke hai par yeh phir
bhi apne bhakto ko samay samay par
apne darshan dete rehte hai. Phir wo
customer aunty boli ki muje yaad aa
gaya ki maine inhe three months pehle
Gurgaon ke Medanta hospital main
dekha hai wo mere sath baithe the aur
mujse inhone ne pucha ki aunty Ki
Hoya Hai Tenu - to maine unhe kha ki
meri mummy ko doctor ne kha hai ki
unhe cancer hai aur checkup karane ka
kharcha Rs. 80000 bataya hai tabhi
Guruji bole Kuch Vi Nhi Hona Teri Maa
Nu, Tu Tention Na Le , to us customer
aunty nei Guruji se pucha ki baba aap
yahan kyu aaye ho,to Guruji bole,
kuch nahi main to aise hi yahan aaya
hu, aur Wo baba yellow colour ki dress
main aaye hue the or bar bar smile kar
rhe they. Jab un customer aunty ko
doctor ne bulaya or bataya ki unki
mother ko kuch bhi nahi hai tab wo
doctor bhi surprise they kyonki
customer aunty ki mother ko cancer
jaise lakshan the or test main kuch bhi
nahi nikla, aur customer aunty ki
family bahut kush thi . Fir jab
customer anty apni mother ki sath
bahar ja rahen thei to unhone dekha ki
wo babaji wahi baithe hai or tab bhi
hans rahe thei . Jab shop wale uncle
ne yeh bast apni family ko batai to sab
ko yeh samajh aa gaye ki woh Guru ji
ki kripa hi thi ki unhone un aunty ko
nai jindgi di or sab khush hogaye kyun
ki jo log Guru ji ke bare main jante bhi
nhi hai wo bhi Guru ji ka ashivad pa
rhe hai. Un shop wale uncle ne jab yeh
satsang auro ko sunaya to sabne kaha
ki koi Guru ji ka bhakt medanta main
Guru ji ko yaad kar rha hoga aur Guru
ji ne unke prano ki raksha karni hogi
waha aur us aunty ko pareshan dekh
kar Guru ji se raha nahin gaya hoga
aur unhone uss customer aunty ki
mother ko apni BLESSINGS di .
JAI GURUJI
No comments:
Post a Comment